Tuesday, March 6, 2012

A Poem, Bachchon pe chali goli

Bachchon pe chali goli
Maan dekh ke yeh boli
Yeh dil ke mere tukde
Yun royen mere hote
Mein dur khadi dekhoon
Yeh mujh se nahin hoga

Mein Dur khadi dekhun
Aur ahl-e sitam khelen
Khun se mere bachchon ke
Din-raat yahan holi
Bachchon pe chali goli
Maan dekh ke yeh boli
Yeh dil ke mere tukde
Yun royen mere hote
Mein dur khadi dekhun
Yeh mujh se nahin hoga

Meidan mein nikal aayi
Ek barq si lehrai
Har dast-e sitam kanpa
Bandooq bhi tharrai
Har simt sada gunji
Mein aati hun, mein aayee
Mein aati hun, mein aayee

Har zulm hua batil
Aur seham gaye qatil
Jab us ne zaban kholi
Bachchon pe chali goli
Us ne kaha khun-khwaro!
Daulat ke parastaro
Dharti hai yeh ham sab ki
Is dharti ko naa-dano!
Angrezon ke darbano!
Sahab ki ata-kardah
Jagir na tum jano
Is zulm se baaz aao
Bairak mein chale jao
Kyon chand luteron ki
Phirte ho liye toli
Bachchon pe chali goli


Habib Jalib

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments